loader image

How to enable dark mode on any old Android or iPhone in Hindi- डार्क मोड कैसे इनेबल करेंडार्क मोड कैसे इनेबल करें

Share

Hello dosto yeh blog mein aap sabhi logon ko batane wala hu ki app kaise apna koi bhi android smartphone mein dark mode enable kar sakte hai……

Agar aapke phone mein built dark mode ka option nahi hai toh bhi aap is guide ko padhne ke bath darkmode ko apne phone mein enable kar payenge!

Google dheere dheere sabi android devices mein darkmode option de raha hai, agar aap bhi android ka naya dark mode option ka maza lena chahte ho toh is guide ko dhanwan se padega

Kuch apps mein agar aap ka smartphone darkmode ko support nahi karta hai phir bhi app dark ko darkmode ka feature mil jata hai!…jaise ki WhatsApp, YouTube, Google Chrome etc…..Lekin dark mode ka maza tabhi aata hai jab aap ke sabhi apps mein darkmode ho!..



Tho chaliye sikhte hai ki kisi bhi android smartphone mein darkmode ko enable kaise kar sakte hai…

Unsupported smartphone mein darkmode enable karne ka tarika

  • Step-01: Agar aap apne unsupported smartphone mein dark mode ko enable karna chahte ho tho eeche diye gaye steps follow kare…..
  • Sabse pehle aap apne smartphone mein Google PlayStore ko open kijiye
  • STEP-02: Google PlayStore ko open karne ke bath upar search ke option mein dark mode likh ke search kijiye…Aap Ke samne bahut saare apps ka list aa jayega..Un Mese app upar diye huye app ko download kijiye…Eh automatically apke phone mein install ho jaye ga…
  • STEP-03: Darkmode app ko install karne ke bath use open kijiye…
  • STEP-04: App ko open karne ke bath apke samne theen(3) options milenge …jaise ki DAY MODE, NIGHT MODE, AUTO MODE…..in theen options mein se agar aap apne android smartphone mein dark mode enable karna chahte ho toh night mode option select kijiye…..
  1. Night Mode option select karne ke bath aap apne smartphone ke sabhi apps mein darkmode use kar payenge!..
  2. Instagram, Google photos etc jaise apps darkmode ko support nahi karte lekhin is app ko estamal karne ke bath aap un mein bhi darkmode estamal karpayenge..
  3. “Darkmode App” jo devices, system settings mein darkmode option provide nahi karte in mein bhi dark mode ko activate karne mein madad karta hai

yah app kuch devices mein work nahi karta kyu ki uske smartphone manufacturers ne darkmode ko block Kiya hai



Supported smartphone mein darkmode enable kaise kare!

Agar aapke smartphone mein darkmode pehle se he support karta hai toh aap bina koi third-party app ka istemal kiya usse enable kar sakte hai..

Neeche diye gaye steps ko follow karke aap apne supported smartphone mein darkmode enable kar sakte hai

  • STEP-01: Sabse pehle aap apne phone ke settings app ko open kijiye
  • STEP-02: Open karne ke baad aap display option pe click kijiye..
  • STEP-03: Usske badh aapko dark theme ka option milega by default vo off rahega aap use enable kijiye..

enable karne ke baad aap ke phone mein darkmode on hojayega…



IPHONE MEIN DARKMODE KAISE ENABLE KARE!

Neeche diye gaye steps kho follow karke aap asani se apne iphone ya phir ipad mein dark mode enable kar sakte hai

  • STEP-01: Sabse pehle aapke iPhone yaa phir iPad ke settings app ko open kijiye
  • STEP-02: Settings app ko open karne ke badh display and brightness option select kijiye
  • STEP-03: Uske badh aap appearances ke neeche dark pee tap karke asaanise darkmode mein switch kar sakte hai

NOTE: Aapko display and brightness setting mein automatic ka option milta hai usse enable karne se automatically aapke smartphone mein sunset ke samay dark mode enable ho jayega aur sunrise ke samay light mode enable ho jayega



DARKMODE KE FAIDE

  • BATTERY SAVING: Darkmode aapke smartphone ki battery ko lambe samay tak chalne me madad karta hai..
  1.  Google ne confirm kiya hai ki darkmode ko enable karne ke badh OLED screen smartphone mein battery save karne mein bahut zyada help karta hai
  2. Agar aapne aapke smartphone keh brightness ko 100% kiya hoga tho uss mey se 60% battery koh dark mode save karta hai…
  • Awesome look: Darkmode aapke smartphone koh badiya look deta hai..
  1. Darkmode estamal karte samay aapke smartphone ke colours ubar keh aata hai..iss se aap games, videos vagera aur bhi acche se dekh payenge
  • Aankhon Ki Raksha: Darkmode aapki aankhon par bura asar padne se bachata hai
  1. Hum raat ke samay agar aap normal mode mein aap phone use karte hai tho aapne surely aankhein aur sar dard mehsoos kiya hoga
  2. Lekhin agar aap raat mein normal mode ki jagah darmode ko estamaal karte ho toh aapke anke surakshith rahenge aur aap ko sar dard bhi nahi hoga!!…


DARKMODE KE NUKSAN:

Darkmode ka sabse bada nuksaan yah hai ki agar hum bahut hi jyada dhoop mein yaa phir bright jagah mein apne phone ko use kare toh aapko phone ka display sahi tareeke se nahi dikega

Agar aap AMOLED screen display mein darkmode laga ke bahut zyada dhoop mein istemal karenge toh aap ka phone ka phone ka screen burn hone ka chance rehta hai!!



DARKMODE VS LIGHTMODE!

  • Lightmode ke mukable Darkmode aapke phone ka battery draining kum karta hai
  • Lightmode ka istemal karne se aapke ankhe kamzor hone ka khatra rehta hai..Lekin agar aap dark.lde ka estamaal karenge toh aap ki anko mein zyada damage nahi padega
  • Dorkmode mein aapka phone ka colour ubar kar aata hai, eske vajah se lightmode keh mukable darkmode mein games videos vagera dekhne mein zyada maza aata hai..
  • Darkmode aapke smartphone ko ek amazing look deta hai eske vajah se zyada thar logon ko darkmode istemal karne mein maza ata hai….


Conclusion!

Humne aapko upar detail mein darkmode ka sabhi information, faide, nuksaan sab kuch bataya hua hai…Google dheere dheere sabi devices mein darkmode laneka prayaas kar raha hai, agar aapke smartphone mein darkmode nahi hai toh aap ko chinta karne ki koi baat nahi hai jaldi hai aapke smartphone mein bhi dark mode option aa jayega. Tabtak aap upar diye gaye unsupported smartphone guide kho follow kar sakte hai aur darkmode ka maza le sakte hai. Humara personal suggestion yeh hai ki aapko at least ek baar darkmode kho try karna chahiye

Badlav hi prakruthi ka niyam hai esliye aapko naye naye features try karna chahiye

Aasha kartein hai ki yeh guide ne darkmode ke related aapke sabhi doubts kho solve kiya hoga aur aapko apne smartphone mein darkmode kho enable karne mein madad kiya hoga

Agar aapke koi bhi sawal ya sujav hai tho neeche comments section mein likhiyega hum surely aapko reachout karne ka kosish karenge.

धन्यवाद


FROM AARON,

Thank you so very much for reading our blog. Please share our blog posts and websites with your family and friends. These blogs can help people in knowing things related to Latest Smartphones, their performance, android apps, games etc. Here in this website we provide genuine content which may help people to enhance their technical knowledge and to know more about useful apps which may help them in day to day life. This website also provides information about the games which you need to try, the games which we review are the best ones.

For any further queries or suggestions please contact us through Email

Email – [email protected]

Author – Aaron Dsouza.

FOLLOW US

Hey myself Aaron, Owner and Author of Master Of Phones. I write blogs related to latest smartphones, apps & games, tech news.

One thought on “How to enable dark mode on any old Android or iPhone in Hindi- डार्क मोड कैसे इनेबल करेंडार्क मोड कैसे इनेबल करें

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Back To Top
%d bloggers like this: